0
प्यासा कौआ pyaasaa kauaa - The Thirsty Crow
7 年前 एक बार एक कौआ बहुत प्यासा था। उसको कहीं पानी नहीं मिल रहा था। बहुत ढूँढने पर उसको एक घड़ा दिखाई दिया। घड़े में बहुत थोड़ा सा पानी था। कौए की चोंच पानी तक नहीं पहुँच पा रही थी।
ek baar ek kauaa bahut pyaasaa thaa. usko kaheen paanee naheen mil rahaa thaa. bahut dhoondhne par usko ek gharaa dikhaaee diyaa. ghare men bahut thoraa saa paanee thaa. kaue kee chonch paanee tak naheen pahunch paa rahee thee.
वह बड़े ध्यान से सोचने लगा और उसे एक उपाय सूझा। पास ही पत्थर के कुछ टुकड़े पड़े थे। कौए ने एक एक पत्थर उठाया और घड़े में डालता गया। धीरे धीरे पानी ऊपर आने लगा। कौआ लगातार पत्थर डालता गया। जल्दी ही पानी इतना ऊपर आ गया कि कौए की चोंच वहाँ तक आराम से पहुँच गई।
voh bare dhyaan se sochne lagaa aur use ek upaay sujhaa. paas hee patthar ke kuch tukre pare the. kayue ne ek ek patthar uthaayaa ghare men daaltaa gayaa. dheere dheere paanee oopar aane lagaa. kauya lagaataar patthar daaltaa gayaa. jaldee paanee itnaa oopar aa gayaa ki kayue kee chonch vahaan tak aaraam se pahunch gayi.
तब कौए ने पानी पिया और अपनी प्यास बुझाई।
tab kaue ne paanee piyaa aur apnee pyaas bujhayi.
एक बार ek baar - Once upon a time, कहीं kaheen - Somewhere, ढूँढना dhundhna- To look for ,घड़ा ghara - Pot (M)
दिखाई देना dikhaye dena - To appear, थोड़ा thora - A little,चोंच chonch - Beak (F) , पहुँच पाना pahunch pana - To manage to reach
उपाय upaay - idea, सूझना sujhna - To come to mind,
पत्थर pathar - Stone (M), टुकड़ा tukraa - Piece,
डालना dalna - To put, लगातार lagataar - Continuously,